surat-e-sahar jaun aur dar-ba-dar jaun

surat-e-sahar jaun aur dar-ba-dar jaun

ab to faisla Thahra raat se guzar jaun

wahimon ke zindan ka zehn zehn qaidi hai

bol fikr-e-tabinda main kidhar kidhar jaun

meri na-rasai se qafila na ruk jae

main ki pa-shikasta hun raste mein mar jaun

ishq ki sadaqat par jabki mera iman hai

kaise KHud-kushi kar lun kyun bikhar bikhar jaun