nahin shauq-e-KHaridari mein dauDe ja raha hai

nahin shauq-e-KHaridari mein dauDe ja raha hai

ye gahak sair-e-bazari mein dauDe ja raha hai

mayassar kuchh nahin hai khel mein la-hasili ke

yunhi be-kar bekari mein dauDe ja raha hai

uThae phir raha hai kotwal-e-umr chabuk

badan majbur lachaari mein dauDe ja raha hai

khaDi hai manfat hairan bahar daere se

ziyan apni ziyan-kari mein dauDe ja raha hai

Thaharna bhi kahan hai sahal in sayyargan ko

na sabit se hi sayyari mein dauDe ja raha hai

utara KHwahishon ka hai izafi bojh sar se

to aasani se dushwari mein dauDe ja raha hai

nahin himmat ki jis mein ho zamane ke muqabil

wo apne ghar ki rahdari mein dauDe ja raha hai

nahin milta magar rauzan ki nikle aks bahar

pas-e-aina-zangari mein dauDe ja raha hai

sameTa jhuT ki parkar ne hai pesh-o-pas ko

ki ab har sach riya-kari mein dauDe ja raha hai

KHabar hai rut badalne ki agar rashk-e-saba wo

KHiram-andaz gulzari mein dauDe ja raha hai