sabhi sadiyon ko mil kar sochna hai
ki ek lamhe ka man kyon anmana hai
tumhaare pas hain ilm-o-hunar sab
hamare pas bas ek bachpana hai
bacha kar tum use gullak mein rakkho
hamein to zindagi ko KHarchana hai
hain kuchh iman tere khel mein ya
tera maqsad yahan bas jitna hai
siwa is ke qayamat aur kya hai
KHudai ka KHuda se samna hai
zara ye soch kar taqrir karna
tumhaare baad hum ko bolna hai
chamak suraj ki kam thoDe hui hai
use ghere hue baadal ghana hai
kisi din bhaD ko wo phoD dega
jise kahte hain sab thotha chana hai