kahin chandan mahakta hai kahin kesar mahakta hai
ye KHushbu hai buzurgon ki jo mera ghar mahakta hai
wo apni jhurriyon wali hatheli mein dua bhar kar
jo chhu dete hain mera sar to mera sar mahakta hai
agarbatti ke jaisa ho gaya hai dil hamara ab
wo apne dewta ke samne jal kar mahakta hai
tumhaare shahr mein ab to bahaaren bhi hui basi
hamare ganw aa jao yahan patjhaD mahakta hai
mere is jism ki apni koi KHushbu nahin lekin
mahakta hun main is karan mera dilbar mahakta hai
saDak par Thokaren duniya ki wo khata raha barson
use mandir mein jab rakkha wahi patthar mahakta hai
tera bhiga badan ek din nazar se chhu liya main ne
usi din se meri aankhon ka har manzar mahakta hai