Itni aasani se gar tujhko khuda mil jaega

itni aasani se gar tujh ko KHuda mil jaega

phir to teri wahshaton ko hausla mil jaega

tikaDmon se tujh ko jannat ka pata mil jaega

par sifarish se wahan kya daKHila mil jaega

tirgi to bas tamasha dekhti rah jaegi

aandhiyon se sazishan bujhta diya mil jaega

bechna to hai nahin iman phir bhi boliye

is ka bazaron mein hum ko dam kya mil jaega

aankh hai ghar dil gali ye jism un ka shahr hai

Dakiya ko mujh mein hi un ka pata mil jaega

jhuTi shaklon ko hai mushkil KHud ko wo dekhen kahan

sachche chehron ko to phir bhi aaina mil jaega

sach to ye hai phir se us ki baaton mein aa jaenge

aaj bhi hum ko agar wo bewafa mil jaega

aap ke naKHre uThaen har ghaDi minnat karen

jaiye itne mein to hum ko KHuda mil jaega

na-umidi mein bhi meri pur-umidi dekhiye

wo hua mil kar juda ho kar juda mil jaega