Ghazal tumko sunane ke bahane dvahund leta hun

ghazal tum ko sunane ke bahane DhunD leta hun

main yun hi muskurane ke bahane DhunD leta hun

main kafir hun KHuda ke dar kabhi sajda nahin karta

magar main sar jhukane ke bahane DhunD leta hun

koi bhi khel ho main ehtiyat itni baratta hun

main pahle haar jaane ke bahane DhunDh leta hun

nahin dikhta hai mujh ko Thik se ab dur ka kah kar

tere nazdik aane ke bahane DhunD leta hun

main us ke dar pe ja kar mangta hun hath jab tera

KHuda ko aazmane ke bahane DhunD leta hun

teri mahfil mein aata hun pahan kar dhup ka chashma

nazar tujh par Tikane ke bahane DhunD leta hun

main la-jawab hun lekin hai aqida eid par mera

gale tujh ko lagane ke bahane DhunD leta hun

hai maqsad ye ki logon ke kalejon ko mile ThanDak

main apna dil jalane ke bahane DhunD leta hun

bahut zoron se hans paDta hun main bin baat ke aksar

main yun aansu bahane ke bahane DhunD leta hun