baat sun lega KHuda amin kahna
paDh ke tum apni dua aamin kahna
apni sari mannaten tum budbudana
phaD kar apna gala aamin kahna
chup the kyon tum jab tumhein manga KHuda se
itna bhi mushkil na tha aamin kahna
han ye tha KHwahish ka meri masala par
tha zaruri aap ka aamin kahna
is se behtar tha ki tum KHamosh rahte
kufr tha wo anmana aamin kahna
raste bhar tum dua karte chalo bas
jab dikhega mai-kada aamin kahna
mangne aaya hun main tum se mohabbat
ai KHuda tum bhi zara aamin kahna