Pichhle safar ka aks-e-ziyan mere samne

pichhle safar ka aks-e-ziyan mere samne

sab bastiyan dhuan hi dhuan mere samne

kis KHitta-e-talab mein achanak paDe the panw

umDa hua tha dasht-e-guman mere samne

jhonka sa bit jaun ki diwar sa rukun

ek aa paDi hai ja-e-aman mere samne

shahr-e-sada pe hai koi parda paDa hua

koi gali na koi makan mere samne

is par bhi kya sabab hai ki uThte nahin qadam

jangal na koi koh-e-giran mere samne

dekho to aabju si jo chhu lun to dhul KHak

kya shai hai misl-e-reg-e-rawan mere samne

jis ke sabab raha hadaf-e-roz-o-shab hi main

TuTi hai us ufuq ki kaman mere samne