Har ek imkan tak paspai hai apni

har ek imkan tak paspai hai apni

aur us ke baad saf-arai hai apni

saza samjho mujhe us khokhle-pan ki

sada har samt se lauT aai hai apni

jamaat be-jamaat ek sa hun main

ki sadha shakl ki tanhai hai apni

ab un sairabiyon ka silsila kab tak

KHabar to muddaton tak pai hai apni

phir apne aap mein girne laga hun main

wahi laghzish wahi gahrai hai apni

safar be-lazzati ki justuju ka hai

ba-har-manzar ziyan-paimai hai apni