Wo kya jawab de arz-e-sawal se pahle

wo kya jawab de arz-e-sawal se pahle

na samjhe baat jo izhaar-e-haal se pahle

KHusha wo daur ki jab tha masarraton ka hujum

ruKH-e-hayat pe gard-e-malal se pahle

karishma-sazi-e-husn-e-tasawwuraat na puchh

wo aa gae mere dil mein KHayal se pahle

ye jaanta hun kisi chiz ko zamane mein

zawal ho nahin sakta kamal se pahle

KHuda-gawah ki main ne na di jagah dil mein

kisi KHayal ko tere KHayal se pahle

kuchh is tarah se hui zindagi ki barbaadi

koi misal nahin is misal se pahle

ghazal se pahle munasib hai sikh lo ‘jauhar’

shuur-e-fan kisi ahl-e-kamal se pahle