Pahle to uski zat ghazal mein samet lun

pahle to us ki zat ghazal mein sameT lun

phir sari kaenat ghazal mein sameT lun

hote hain runuma jo zamane mein roz-o-shab

wo sare hadsat ghazal mein sameT lun

pahle to main ghazal mein kahun apne dil ki baat

phir sab ke dil ki baat ghazal mein sameT lun

koi KHayal zehn se bach kar na ja sake

sare tasawwuraat ghazal mein sameT lun

maqbul-e-bargah-e-risalat hon mere sher

sarmaya-e-najat ghazal mein sameT lun

‘jauhar’ wo baat jis ka talluq ho zist se

aisi har ek baat ghazal mein sameT lun