Mukaddar hi tha kuchh aisa hamara

mukaddar hi tha kuchh aisa hamara

safar kaTta raha tanha hamara

kai chehron ka gham hai is mein shamil

hamara hai kahan chehra hamara

wo bhule aur hum bhule na un ko

talluq hai yahi un ka hamara

hamein manzil pe aa kar ye KHalish hai

palaT jate to kya jata hamara

nibhane ki musalsal koshishon mein

bigaDta hi gaya rishta hamara

chiDhata hai koi lahron ko aksar

bana kar ret par naqsha hamara

hai apni ‘chandni’ hi chaar din ki

bigaDegi hi kya duniya hamara