Kho gaya hai jo usko khone do

kho gaya hai jo us ko khone do

phir naya KHwab mujh ko bone do

bastiyon ko ujaDne walo

ab madari ka khel hone do

KHwahishon KHwab dekhna chhoDo

nind aai hai mujh ko sone do

raushnai na KHatm ho jae

kaghazon ko siyah hone do

har ghaDi ye KHayal aata hai

zindagi ke hain sirf kone do

jhuT buniyaad hi nahin rakhta

ru-ba-ru sach se sab ko hone do

aansuon se dhuli zaminon par

ab zara dhup ko bhi rone do

chand kyon jagta hai sath mere

raat ke baj rahe hain paune do