shayad ” kuchh log”

kuchh log
jo mere dil ko achchhe lagte the
umron ke rele mein aae
aur ja bhi chuke
kuchh dhandon mein masruf hue
kuchh chuha-dauD mein jite gae
kuchh haar gae
kuchh qatl hue
kuchh baDhti bhiD mein
apne-ap se dur hue
kuchh TuT gae kuchh Dub gae

mujh par ye KHauf ab chhaya hai
main kis se milne jaunga
main kis ko pas bulaunga
aandhi hai, garm hawa hai, aag barasti hai
kuchh der hui
ek surat, shabnam si surat
is tapti rah se guzri thi
do bachche peD ke patton mein chhup kar baiThe the
hanste shor machate the
ek dost purana
barson baad mila mujh ko
us jalte din ki
subh kuchh aisi raushan thi
jab baad-e-saba warafta-rau
KHushbuon, naghmon, nannhi-munni baaton ka
andaz liye aangan mein chali
main zinda hun
ye soch ke KHush ho jata hun
wo thoDi der to mere pas se guzri thi
wo mere dil mein utri thi
is be-mahram se mausam mein
shayad wo kal bhi aaegi
shayad wo kal bhi meri rah se guzregi