raushni ho na saki sham ke hangam ke sath

raushni ho na saki sham ke hangam ke sath
aur hum dip jalate rahe har sham ke sath

dur baDhta hi gaya hasrat-e-nakaam ke sath
dil mein ek Tis uThi aap ke hangam ke sath

aap ne pursish-e-gham ka bhi takalluf na kiya
dil mein hum jalte rahe hasrat-e-nakaam ke sath

jaane kyun aaj mere ishq ki tashhir hui
har zaban par hai mera nam tere nam ke sath

daur-e-mai KHatm hua shama ka dil baiTh gaya
raunaq-e-bazm gai saqi-e-gulfam ke sath

waqt ki baat hai kya waqt guzar jaega
aur kuchh der chalo gardish-e-ayyam ke sath

manzil-e-ishq mein kya kaam tha un ka ‘hamdam’
thak ke jo baiTh gae rah mein aaram ke sath