jo baat rahe dil mein wahi baat baDi hai
ulfat ka taqaza bhi yahi kam-suKHani hai
saqi teri aankhon mein hain do-jam chhalakte
mai-KHane ki masti teri aankhon mein bhari hai
fankar ne jab apna qalam gham mein Duboya
tab ja ke tere husn ki taswir bani hai
jab chaha tujhe dekh liya jaan-e-tamanna
gham-KHana-e-dil mein teri taswir juDi hai
kyon subh nahin hoti meri sham-e-alam ki
kyon zist meri maut ke sanche mein Dhali hai
jis waqt nazar aaya teri zulf ka saya
us waqt kaha dil ne yahan chhanw ghani hai
tauhin na kar is ki ise kah le mai-e-nab
naseh mere saghar mein to shishe ki pari hai
ye waqt-e-jawani hai ganwa is ko na ‘hamdam’
nadan ibarat ke liye umr paDi hai