hum bhi sunte jo tere husn ke charche hote

hum bhi sunte jo tere husn ke charche hote
kash us waqt teri bazm mein baiThe hote

dil ke wo dagh jo sine mein chhupa rakkhe hain
ai masiha wo kabhi tu ne bhi dekhe hote

hum samajh hi na sake teri nazar ka mafhum
warna yun but se bane rah mein baiThe hote

gham-e-dauran ki kaDi dhup ye tapta sahra
kash do-gam teri zulf ke sae hote

hum jala lete agar teri mohabbat ke charagh
in andheron ki jagah dil mein ujale hote

dil mein hota na kabhi zauq-e-tajassus ka hujum
tujh se duniya mein agar aur bhi chehre hote