gulon ke dam-e-mohabbat mein aa raha hun main

gulon ke dam-e-mohabbat mein aa raha hun main
fareb husn-e-majazi ka kha raha hun main

kisi ke husn ki taswir khinch kar dil mein
tasawwuraat ki mahfil saja raha hun main

mujhe talab hi nahin hai kisi masarrat ki
KHushi samajh ke tera gham uTha raha hun main

gulon ki bazm se mujh ko na thi koi raghbat
tumhaara naqsh-e-qadam DhunDhta raha hun main

safina gham ka liye jaega kahan yarab
muhit-e-zist mein bahta hi ja raha hun main

baqa ki fikr na andesha-e-fana ‘hamdam’
KHuda ke jalwe mein KHud ko sama raha hun main