agar hain KHar-e-alam aadmi ke daman mein

agar hain KHar-e-alam aadmi ke daman mein
KHushi ke phul bhi to hain usi ke daman mein

hazar aish sahi zindagi ke daman mein
magar hai sabr kahan aadmi ke daman mein

agar sukun hai to hai bandagi ke daman mein
milegi manzil-e-irfan usi ke daman mein

kisi ki yaad mein aansu jo aankh se Tapke
jawaharaat hain ye aashiqi ke daman mein

kamal-e-zabt yahi hai waqar-e-ishq yahi
chhupi ho aarzu-e-dil KHudi ke daman mein

hadis-e-ishq-o-mohabbat ka tarjuman jo ho
adab ke phul khile hain usi ke daman mein

ba-chashm-e-ghaur jo dekho to aur bhi kuchh hai
faqat gunah nahin aadmi ke daman mein

ajal hazar buri chiz hai magar hamdam
panah milti hai aaKHir usi ke daman mein