yakayak aks dhundlane lage hain

yakayak aks dhundlane lage hain
nazar mein aaine aane lage hain

zamin hai muntazir fasl-e-ziya ki
falak par nur ke dane lage hain

KHizan aane se pahle banch lena
daraKHton par jo afsane lage hain

hamein is tarah hi hona tha aabaad
hamare sath virane lage hain

fasil-e-dil gira to dun main lekin
isi diwar se shane lage hain

kabhi faqa-kashi dikhlaegi rang
isi mein solahon aane lage hain