samaat ke liye ek imtihan hai

samaat ke liye ek imtihan hai
KHamoshi in dinon misl-e-bayan hai

safar apne hi bhitar kar raha hun
mera Thahraw muddat se rawan hai

hawas shamil hai thoDi si dua mein
abhi is lau mein halka sa dhuan hai

naya ek KHwab dekhen aur roen
ab itni tab aankhon mein kahan hai

uDa deti hai apni KHak jab tab
zamin ki justuju bhi aasman hai

tabhi aahon ke sur uThte hain is se
hamara soz-e-jaan hi saz-e-jaan hai

hamesha dur se dekha kiya hun
jahan mujh ko jawahir ki dukan hai

mera kirdar is mein ho gaya gum
tumhaari yaad bhi ek dastan hai

mohabbat ek kashti muKHtasar si
tamannaon ka dariya be-karan hai

main sare fasle tai kar chuka hun
KHudi jo darmiyan thi darmiyan hai

‘bakul’ KHwabon ke panchhi aa base hain
hamara aashiyan ab aashiyan hai