kaun kahta hai Thahar jaana hai

kaun kahta hai Thahar jaana hai
rang chaDhna hai utar jaana hai

zindagi se rahi sohbat barson
jate jate hi asar jaana hai

TuTne ko hain sadaen meri
KHamushi tujh ko bikhar jaana hai

KHwab naddi sa guzar jaega
dasht aankhon mein Thahar jaana hai

koi din hum bhi na yaad aaenge
aaKHirash tu bhi bisar jaana hai

koi dariya na samundar na sarab
tishnagi bol kidhar jaana hai

laghzishen jaengi jate jate
nashsha mana ki utar jaana hai

naqsha chhoDa hai hawa ne koi
kaun si samt safar jaana hai

zindagi se hain pasheman hum bhi
kal ye dawa tha ki mar jaana hai