hue hum be-sar-o-saman lekin

hue hum be-sar-o-saman lekin
safar ko kar liya aasan lekin

kinare zad mein aana chahte hain
utarne ko hai ab tufan lekin

bahut ji chahta hai khul ke ro len
lahak uTThe na gham ka dhan lekin

talluq tark to kar len sabhi se
bhale lagte hain kuchh nuqsan lekin

tawazun aa chala hai zehn-o-dil mein
shikasta haal hai mizan lekin

bahut se rang utre barishon mein
dhanak ke khul gae imkan lekin