bar-e-digar ye falsafe dekhun

bar-e-digar ye falsafe dekhun
zaKHm phir se hare-bhare dekhun

ye basirat ajab basirat hai
aainon mein bhi aaine dekhun

zawiyon se agar najat mile
sare manzar ghule-mile dekhun

nazm karna hai be-hisabi ko
lafz sare nape-tule dekhun

aaKHir aaKHir jo dastan na bane
awwal awwal wo waqiye dekhun

duriyan dhund ban ke bikhri hain
kuchh qarib aa ki fasle dekhun

ek nashsha hai KHud-numai bhi
jo ye utre to phir tujhe dekhun

le gaya wo bachi-khuchi ninden
KHwab kaise rahe-sahe dekhun

raat phaili hui hai milon tak
kya charaghon ke daere dekhun