ab ujaDne ke hum na basne ke

ab ujaDne ke hum na basne ke
kaT gae jal sare phansne ke

tajrabon mein na zahr zaea kar
sikh aadab pahle Dasne ke

us se kahiyo jo KHud mein Duba hai
tujh pe baadal nahin barasne ke

milna-julna abhi bhi hai lekin
hath se hath ab na masne ke

naqsh-e-sani hain jhilmilate sarab
naqsh-e-awwal the paon dhansne ke

aisa viran hua hai dil is bar
ab ke imkan nahin hain basne ke

ruThe bachchon se chheD karta hun
DhunDhta hun bahane hansne ke