tera lahza wahi talwar jaisa tha

tera lahza wahi talwar jaisa tha
meri gardan mein KHam har bar jaisa tha

utar jata to ruswai bahut hoti
ki sar ka bojh bhi dastar jaisa tha

tarashi hain gham-e-dauran ne taqdiren
ye KHanjar bhi kisi auzar jaisa tha

hansi bhi ishtihaaron si chamakti thi
wo chehra to kisi aKHbar jaisa tha

bahut rishte the sab ki qimaten tai thi
hamare ghar mein kuchh bazar jaisa tha