an-kahe lafzon mein matlab DhunDhta rahta hun main

an-kahe lafzon mein matlab DhunDhta rahta hun main
kya kaha tha us ne aur kya sochta rahta hun main

yun hi shayad mil sake hone na hone ka suragh
ab musalsal KHud ke andar jhankta rahta hun main

maut ke kale samundar mein ubharte Dubte
barf ke tode ki surat Dolta rahta hun main

in fazaon mein umaDti phailti KHushbu hai wo
in KHalaon mein rawan, ban kar hawa rahta hun main

jism ki do gaz zamin mein dafn kar deta hai wo
kaenati had ki surat phailta rahta hun main

doston se sard-mehri bhi mere bas mein nahin
aur murawwat ki tapish mein khaulta rahta hun main

ek dhamake se na phaT jae kahin mera wajud
apna lawa aap bahar phenkta rahta hun main

chain tha ‘KHalid’ to ghar ki chaar-diwari mein tha
resturanon mein abas kya DhunDhta rahta hun main