Tere Ishq Ki Intiha Chahta Hun

tere ishq ki intiha chahta hun

meri sadgi dekh kya chahta hun

sitam ho ki ho wada-e-be-hijabi

koi baat sabr-azma chahta hun

ye jannat mubarak rahe zahidon ko

ki main aap ka samna chahta hun

zara sa to dil hun magar shoKH itna

wahi lan-tarani suna chahta hun

koi dam ka mehman hun ai ahl-e-mahfil

charagh-e-sahar hun bujha chahta hun

bhari bazm mein raaz ki baat kah di

baDa be-adab hun saza chahta hun