sitaron se aage jahan aur bhi hain
abhi ishq ke imtihan aur bhi hain
tahi zindagi se nahin ye fazaen
yahan saikDon karwan aur bhi hain
qanaat na kar aalam-e-rang-o-bu par
chaman aur bhi aashiyan aur bhi hain
agar kho gaya ek nasheman to kya gham
maqamat-e-ah-o-fughan aur bhi hain
tu shahin hai parwaz hai kaam tera
tere samne aasman aur bhi hain
isi roz o shab mein ulajh kar na rah ja
ki tere zaman o makan aur bhi hain
gae din ki tanha tha main anjuman mein
yahan ab mere raaz-dan aur bhi hain