Ne Mohra Baaqī Ne Mohra-Bāzī

ne mohra baaqī ne mohra-bāzī

jiitā hai ‘rūmī’ haarā hai ‘rāzī’

raushan hai jām-e-jamshed ab tak

shāhī nahīñ hai ba-shīsha-bāzī

dil hai musalmāñ merā na terā

tū bhī namāzī maiñ bhī namāzī

maiñ jāntā huuñ anjām us kā

jis mārke meñ mullā hoñ ġhāzī

turkī bhī shīrīñ taazī bhī shīrīñ

harf-e-mohabbat turkī na taazī

aazar kā pesha ḳhārā-tarāshī

kār-e-ḳhalīlāñ ḳhārā-gudāzī

tū zindagī hai pā.endagī hai

baaqī hai jo kuchh sab ḳhāk-bāzī