Khird-Mandon Se Kya Puchhun ki Meri Ibtida Kya Hai

KHird-mandon se kya puchhun ki meri ibtida kya hai

ki main is fikr mein rahta hun meri intiha kya hai

KHudi ko kar buland itna ki har taqdir se pahle

KHuda bande se KHud puchhe bata teri raza kya hai

maqam-e-guftugu kya hai agar main kimiya-gar hun

yahi soz-e-nafas hai aur meri kimiya kya hai

nazar aain mujhe taqdir ki gahraiyan is mein

na puchh ai ham-nashin mujh se wo chashm-e-surma-sa kya hai

agar hota wo majzub-e-farangi is zamane mein

to ‘iqbaal’ us ko samjhata maqam-e-kibriya kya hai

nawa-e-subh-gahi ne jigar KHun kar diya mera

KHudaya jis KHata ki ye saza hai wo KHata kya hai