Gesu-e-Tabdar Ko Aur Bhi Tabdar Kar

gesu-e-tabdar ko aur bhi tabdar kar

hosh o KHirad shikar kar qalb o nazar shikar kar

ishq bhi ho hijab mein husn bhi ho hijab mein

ya to KHud aashkar ho ya mujhe aashkar kar

tu hai muhit-e-be-karan main hun zara si aabju

ya mujhe ham-kanar kar ya mujhe be-kanar kar

main hun sadaf to tere hath mere guhar ki aabru

main hun KHazaf to tu mujhe gauhar-e-shahwar kar

naghma-e-nau-bahaar agar mere nasib mein na ho

us dam-e-nim-soz ko tairak-e-bahaar kar

bagh-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diya tha kyun

kar-e-jahan daraaz hai ab mera intizar kar

roz-e-hisab jab mera pesh ho daftar-e-amal

aap bhi sharmsar ho mujh ko bhi sharmsar kar