Dhund Raha Hai Farang Aish-e-Jahan Ka Dawam

DhunD raha hai farang aish-e-jahan ka dawam

wa-e-tamanna-e-KHam wa-e-tamanna-e-KHam

pir-e-haram ne kaha sun ke meri ruedad

puKHta hai teri fughan ab na ise dil mein tham

tha areni go kalim main areni go nahin

us ko taqaza rawa mujh pe taqaza haram

garche hai ifsha-e-raaz ahl-e-nazar ki fughan

ho nahin sakta kabhi shewa-e-rindana aam

halqa-e-sufi mein zikr be-nam o be-soz-o-saz

main bhi raha tishna-kaam tu bhi raha tishna-kaam

ishq teri intiha ishq meri intiha

tu bhi abhi na-tamam main bhi abhi na-tamam

aah ki khoya gaya tujh se faqiri ka raaz

warna hai mal-e-faqir saltanat-e-rum-o-sham