Aflak Se Aata Hai Nalon Ka Jawab AaKHir

aflak se aata hai nalon ka jawab aaKHir

karte hain Khitab aaKHir uThte hain hijab aaKHir

ahwal-e-mohabbat mein kuchh farq nahin aisa

soz o tab-o-tab awwal soz o tab-o-tab aaKHir

main tujh ko batata hun taqdir-e-umam kya hai

shamshir-o-sinan awwal taus-o-raubab aaKHir

mai-KHana-e-europe ke dastur nirale hain

late hain surur awwal dete hain sharab aaKHir

kya dabdaba-e-nadir kya shaukat-e-taimuri

ho jate hain sab daftar gharq-e-mai-e-nab aaKHir

KHalwat ki ghaDi guzri jalwat ki ghaDi aai

chhuTne ko hai bijli se aaghosh-e-sahab aaKHir

tha zabt bahut mushkil is sail-e-maani ka

kah Dale qalandar ne asrar-e-kitab aaKHir