Sadaen qaid karun aahaten chura le jaun

sadaen qaid karun aahaTen chura le jaun

mahakte jism ki sab KHushbuen uDa le jaun

bala ka shor hai tufan aa gaya shayad

kahan ka raKHt-e-safar KHud ko hi bacha le jaun

teri amanaten mahfuz rakh na paunga

dobara lauT ke aane ki bas dua le jaun

kaha hai dariya ne wo shart haar jaega

jo ek din mein use sath main baha le jaun

abhi to aur na jaane kahan kahan bhaTkun

kabhi bahaya tha dariya mein jo diya le jaun