Rone ko bahut roe bahut aah-o-fughan ki

rone ko bahut roe bahut aah-o-fughan ki

kaTti nahin zanjir magar sud-o-ziyan ki

aaen jo yahan ahl-e-KHirad soch ke aaen

is shahr se milti hain haden shahr-e-guman ki

karte hain tawaf aaj wo KHud apne gharon ka

jo sair ko nikle the kabhi sare jahan ki

is dasht ke anjam pe pahle se nazar thi

tasir samajhte the hum aawaz-e-sagan ki

ilzam lagata hai yahi hum pe zamana

taswir banate hain kisi aur jahan ki

pahle hi kaha karte the mat ghaur se dekho

har baat nirali hai yahan dida-waran ki

‘ashufta’ ab us shaKHs se kya KHak nibahen

jo baat samajhta hi nahin dil ki zaban ki