Hamein safar ki aziyyat se phir guzarna hai

hamein safar ki aziyyat se phir guzarna hai

tumhaare shahr mein fikr o nazar pe pahra hai

saza ke taur pe main doston se milta hun

asar shikast-pasandi ka mujh pe gahra hai

wo ek laKHt KHalaon mein ghurte rahna

kisi tawil masafat ka pesh-KHema hai

ye aur baat ki tum bhi yahan ke shahri ho

jo main ne tum ko sunaya tha mera qissa hai

hum apne shanon pe phirte hain qatl-gah liye

KHud apne qatl ki sazish hamara wirsa hai