Dayar-e-Khwab

dayar-e-KHwab ke udhar

musafiron ki bastiyan

nashili kali badliyan sharabiyon ki Toliyan

nasha baDhati dhani dhani chunariyan

mahakte kunware jism chilmanon ki tiliyan

sajili reshmi paron mein rang-birangi titliyan

paki pakai auraton mein shahwaton ki bijliyan

zara si raat bhig jae,

phir suno andhere ki zaban

thake thakae jism hanpti laTakti chhatiyan

shafiq aankhen maon ki rahim loriyan

KHizan luTati kahkashan,

dhuan ugalti chimniyan

dhaDakte dil, niDhaal jism, dhup ke makan

sunahre surKH pairahan bhigoti shahr-zadiyan

gadele gande pokharon mein tairti hain machhliyan

na jaane kis gunah ki saza mein bahti nadiyan

zara si raat bhig jae,

phir suno andhere ki zaban

dayar-e-KHwab ke udhar

musafiron ki bastiyan