har kaam ka waqt muqarrar hai har kaam ko waqt pe hona hai
kis baat ki aaKHir jaldi hai kis baat ka phir ye rona hai
duniya ke masaib jhelne ko malik ne banaya hai jiwan
aaram bhala phir kahe ka phir kahe ye sona hai
be-maqsad jina kahte hain haiwan ke jaisa jine ko
insan ke liye to ye jiwan yaro pur-KHar bichhauna hai
dushwar sahi rasta lekin chalna hai hamein manzil ki taraf
manzil ki talab mein ‘akif’ ji kuchh pana hai kuchh khona hai