Dil samundar tha lekin ye tishna-labi

dil samundar tha lekin ye tishna-labi

meri qismat mein kis roz likkhi gai

aankh pur-nam magar muskurahaT meri

kah rahi thi kahani mere ishq ki

ishq ke sail ko rokne ke liye

gham ki diwar raste mein rakh di gai

zulmaten sah gaya main isi aas par

chand nikla to jaegi tira-shabi

dilruba shahr ke kuchh se kuchh ho gae

meri manzil musalsal wahi ki wahi

KHar chubhte gae KHar chunta gaya

tha parastar-e-gulzar aakif-‘ghani’