Aabla-pai hui na zist mein hail kabhi

aabla-pai hui na zist mein hail kabhi

panw kab mere thake gar ho gae ghail kabhi

pur-kashish hai mahfil-e-duniya bahut apni jagah

par mujhe ye apni jaanib kar saki mail kabhi

har amal ka ajr hai mahfuz apne rab ke pas

koi bhi achchha amal jata nahin zail kabhi

chha gai masti badan mein aur dil par ek surur

zehn mein jab baj uThi mahbub ki pail kabhi

jholiyan bhar di gain rahmat se rab ki dosto

kab hai KHali hath lauTa koi bhi sail kabhi

baat sachchi hai to kahne mein takalluf kya tujhe

log ho hi jaenge ‘akif’ tere qail kabhi