ZaKHmon ke dahan bhar de KHanjar ke nishan le ja

zaKHmon ke dahan bhar de KHanjar ke nishan le ja

be-samt sadaon ki rifat ka guman le ja

ehsas-e-basirat mein ibrat ka saman le ja

ujDi hui basti se buniyaad-e-makan le ja

shahron ki fazaon mein lashon ka taffun hai

jangal ki hawa aa ja jismon ka dhuan le ja

hai aur abhi baqi tarik safar shab ka

ugne de naya suraj phir chahe jahan le ja

jalti hui raaton ka bujhta hua manzar hun

ghar aa ke kabhi ‘ajiz’ mujh se ye saman le ja