Sina lahuluhan hai kali chaTTan ka

sina lahuluhan hai kali chaTTan ka

patthar mein bhi guman sa hota hai jaan ka

chhoTa sa ek tinka chiDiya ki chonch mein

shahtir lag raha tha jo unche makan ka

qindil le ke KHud hi wo KHandaq mein ja gira

nara laga raha tha abhi sawdhan ka

hai samne se aankh milane ka lutf aur

khelega kya shikar shikari machan ka

‘ajiz’ meri qamiz mein aTka tha jo kabhi

tohfe ka tha wo phul ki kanTa tha jaan ka