ek ek pata hawaon se hai laDne wala
peD us ka nahin aandhi se ukhaDne wala
rah chalte hue ungli bhi kisi ki na pakaD
bhiD mein hota hai har shaKHs bichhaDne wala
ek humakte hue bachche ki tarah zid na kar
KHushnuma jism khilauna hai bigaDne wala
KHatm mahlon ki rawa-dari ka dastur hua
ab yahan kaun hai diwar mein gaDhne wala
zindagi shahar basane mein hai masruf ‘ajiz’
ganw tufan ki zad mein hai ujaDne wala