yahan makinon se KHali makan rahte hain
mohabbaten nahin rahtin guman rahte hain
KHuda kare ki sune tu zaban-e-KHamoshi
tere paDos mein kuchh be-zaban rahte hain
na kije takiya buzurgon ki Dhalti chhanw par
kahan saron pe sada saeban rahte hain
yahi jahan hai hamara jahan-e-gumshudgi
yahi nishan ki bas be-nishan rahte hain
mohabbaten jis ufuq se tulua hoti hain
wahin pe mil ke zamin aasman rahte hain
tere suluk ne dhundla diye sab afsane
hum apne se bhi bahut bad-guman rahte hain
har ek shaKHs ko majbur ‘ah’ mat jaano
ki shishe bhi kahin ban kar chaTan rahte hain