wo wahima hai kahan ye usul jaana tha
mile the us se to phir us ko bhul jaana tha
ganwa di umr kisi rabt-e-raegan ke liye
hamein to TuTte rishton ko bhul jaana tha
na kaam aai tab-o-tab-e-fikr-o-fan meri
wo aaina hun jise sab ne dhul jaana tha
wo KHushbuon ke musafir the sath chalte kya
mujhe to surat-e-gard-e-malul jaana tha
wo sada-lauh hamare siwa koi na tha ‘ah’
ki jis ne gul-shuda daghon ko bhul jaana tha