wo to hai dushman-e-jaan dad-e-wafa kya dega
jo kabhi zahar na dai paya dawa kya dega
kal kahin aaj kahin apna safar na-malum
koi be-samt hawaon ka pata kya dega
is se sar phoD ke mar jao to kuchh baat bane
zindagi ye tumhein patthar ka KHuda kya dega
KHud tumhin jism ki diwar mein khiDki kholo
ek zindan hai sanson ka hawa kya dega
zard patton ki tarah girte hain pal pal aansu
tera gham bhi mujhe ab saya ghana kya dega
zindagi nam hui us ke to Darna kaisa
‘ah’ ab maut se baDh kar wo saza kya dega