udasiyon ka musalsal ye daur chalna hai
na koi hadsa hona na ji bahalna hai
wo aur honge mila jin ko raushni ka safar
hamein to bujhte charaghon ke sath chalna hai
ye Dhalti umr ke raste bahut thaka denge
qadam qadam pe naya rasta nikalna hai
widaa ho gai kah kar ye KHushbuon ki sada
gulab-jismon ko ab pattharon mein Dhalna hai
kisi ka lahren manaengi jashn-e-gharqabi
phir aaj raat samundar bahut uchhalna hai
meri shikast mein muzmar hai teri kotahi
tujhe bhi meri tarah kal ko hath malna hai