Talluqat-e-musalsal bhi taziyane the

talluqat-e-musalsal bhi taziyane the

wo dhage TuT gae jo bahut purane the

tere milan se tera intizar behtar tha

bane na jism jo sae wahi suhane the

sinaen lafzon ki sab sath-e-sang par TuTin

tumhein ye war to phulon pe aazmane the

hamare ba’d bhi raunaq na aai us ghar par

charagh ek hawa ko kai bujhane the

bacha na koi musafir bhi darmiyan-e-safar

na jaane kaun se tiron ke sab nishane the

ye baam-o-dar pe jo chamki thi dhup si ai ‘ah’

meri talash mein guzre hue zamane the