Subh-e-be-nur na ho dhyan mein rakh

subh-e-be-nur na ho dhyan mein rakh

ek suraj ko gareban mein rakh

din mein kuchh aur hun shab mein kuchh aur

lamha lamha mujhe pahchan mein rakh

jal bujha taq-e-sahar mein kab ka

ab mujhe shab ke bayaban mein rakh

huin yaKH-basta sabhi pichhli ruten

yaad ki dhup ko dalan mein rakh

bach ke is shor-e-samaat se zara

apne kuchh raaz mere kan mein rakh

main kahan aur kahan bazar-e-hunar

dard hun ‘mir’ ke diwan mein rakh

abhi ho jaega farq-e-gul-o-sang

main hun kya shai mujhe mizan mein rakh